Sidra Store
Search

Cart

More Details

Bunyadi Aqaid aur Fiqhi Masail ke bayaan par kai kitabein likhi gai hain jin mein baaz badi tafseeli hain to baaz kaafi mukhtasar, maslan 'Bahaare Shariat' (written by Allama Mufti Amjad Ali Aazmi rahimahullahu ta'ala) mein bahut zyada masail ka ihaata kiya gaya hai jiski wajah se use 'Fiqhe Hanafi ka Encyclopedia' bhi kaha jaata hai, ab iske baad 'Anware Shariat' (written by Allama Mufti Jalaluddin Ahmad Amjadi rahimahullahu ta'ala) ko dekhein to ye kaafi mukhtasar hai, Inke darmiyan mein ek aisi kitab ki bhi zaroorat thi jo na to bahut zyada mukhtasar ho aur na bahut zyada tafseeli bayaan par mushtamil ho aur wo ye kitab "Qanoone Shariat" hai, Awaam ke liye is ka padhna behtar hai