Sidra Store
Search

Cart

More Details

(14) Book Description (In Roman Urdu):

Ye risala 'Islami Aqaid' mukhtasar hone ke bawujood apne andar kai baato ko samete hue hai jin ka talluq Aqaid se hai, Is ke musannif Allama Mufti Faiz Ahmad Owaisi rahimahullahu ta'ala hain jinhone saikdo kitabein tasneef farmai hain

Humne is mein 'Aasan Roman Urdu' ka istemal kiya hai taaki har koi padh kar aasani se samajh sake, kai jagaho par mushkil alfaaz ko aasan karne ki koshish ki gai hai aur bracket mein similar words ko laaya gaya hai

Hum ummeed karte hain ke ye peshkash awaame Ahle Sunnat ke liye mufeed saabit hogi, Allah ta'ala humari is kawish ko apni bargah mein qabool farmaye