More Details
Ahle Sunnat par kiye jaane waale aitrazaat mein se ek ye bhi hai ke Auliya -e- Ahle Sunnat ne apne manne waalo se apne naam ke kalime padhwaye hain aur ise saabit karne ke liye kuchh waqiyaat pesh kiye jaate hain; Awaame Ahle Sunnat jo isse na aashna hain, jab unke saamne ye baatein laai jaati hain to unka tashweesh mein mubtala hona yaqeeni hai aur natije mein hota ye hai ke in baato ki asal haisiyat se laa-ilmi ki bina par log Ahle Sunnat se alag hone lagte hain aur bil aakhir badmazhabo ke jaal mein phans jaate hain (Allah ta’ala ki panaah)
Is risale mein is par tafseel se kalaam kiya gaya hai aur is tarah ki baato ki tehqeeq Ulama -e- Ahle Sunnat ke aqwaal aur fatawa ki raushni mein pesh ki gai hai aur saath hi is tarah ki jo riwayatein hain jin mein "Chishti Rasoolullah" ya "Shibli Rasoolullah" jaise alfaaz aaye hain, unki sharayi haisiyat bhi bayaan ki gai hai
Allah ta’ala is ke murattib par apna khaas fazl farmaye aur is ki isha’at ko apni bargaah mein qubool farmaye