Sidra Store (Powered by AMO)
Search

Cart

More Details

• About the book (in Roman Urdu):

Imame Ahle Sunnat, Aala Hazrat, Imam Ahmad Raza Khan rahimahullahu ta'ala ne apne is risale “Tamheedul Imaan” mein bayaan farmaya hai ke ‘Imaan’ kehte kise hain aur phir wo kaun si baatein hain ke jin se banda apna imaan kho deta hai, Daure haazir mein kuchh logon ne imaan aur islam ko bas kalima padhne ka naam de rakha hai aur is ke baad koi kuchh bhi gustakhi ya zarooriyaate deen ka inkar ya kufriya kalime bakta rahe phir bhi imaan waala rehta hai! Ye ek aisi fikr hai jis se musalmano ko gumrah kiya jaa raha hai aur is mein sab se aage firqa -e- wahabiya hai jinhone Allah ta’ala aur us ke Habeeb, Muhammadur Rasoolullah ki shaan mein gustakhiya ki aur musalmano mein aisa fitna daala ke baap bete ka, bhai bhai ka aur dost dost ka dushman ban gaya; jab ulama -e- ahle sunnat ne in ki haqeeqat logon ke saamne rakhi to tarah tarah ke makro fareb se apna chehra chhupane ki koshish ki jaane lagi, is risale mein in ke aise kai makro fareb ka bayaan hai jo inhein be naqaab karta hai aur un ka zabardast ilmi jawab bhi tehreer kiya gaya hai

Musalmano ke dilo dimagh ko jhinjod kar rakh dene waale is risale ko hum ne Roman Urdu mein publish kiya hai taaki is daur mein jo Urdu, Hindi waghaira nahin padh sakte bilkhusoos naujawan tabqa, wo bhi is se faida utha sakein