More Details
Shaane Habeebur-Rahman min Aayaatil Quran, Hakeemul Ummat, Mufti Ahmad Yaar Khan Nayeemi rahimahullahu ta’ala ki ek mash’hooro maroof kitab hai, is kitab ke mauzu (topic) ka intekhab bahut haseen hai ke Qurane kareem ki taqreeban ek sau se zaaid (100+) aisi aayato ki tafseer bayaan ki gai hai jo Habeebe Khuda, Sayyide Aalam, Muhammad Mustafa ﷺ ki shaano azmat ko zaahir karti hain, Is khubsoorat kitab mein Arabi aayatein hain, un ka tarjuma hai aur tafseer ke ziman mein ilmi nikaat hain, dilchasp hikayaat hain aur lateef baato ke saath shaane Mustafa ﷺ par ash’aar hain jin ke padhne se Nabi ﷺ se muhabbat urooj paati hai aur dile momin ko suroor milta hai
Hum ne ise ‘Aasaan Roman Urdu’ mein pesh kiya hai aur jahan jahan mushkil ibaraat thi unhein sehal andaaz mein darj kiya gaya hai taaki har shakhs padh kar samajh sake, Allah tabaraka wa ta’ala humari is kaawish ko apni bargaahe paak mein darja -e- maqbooliyat ataa farmaye aur ise humari najaat ka zariya banaye