Sidra Store (Powered by AMO)
Search

Cart

More Details

NOTE: Ye Pre-Booking hai yaani advance booking aur kitab 10 -15 January 2026 tak dispatch ki jayegi

Ahle Sunnat wa Jama’at ka aqeeda hai ke Allah ta’ala ki ataa se us ke khaas bande saahibe ikhteyar hote hain; Ambiya -e- kiraam aur Auliya -e- izaam par Allah tabaraka wa ta’ala ka khaas fazl hota hai jis ki barkat se wo khaas kamalaat waale hote hain; Rabb ki di hui taaqato se ye hazraat aalam mein faiz jaari karte hain aur khalq ko nafaa pahunchate hain; Ye aqeeda kisi tarah bhi shirk nahin hai, ye to ayen islami aqeeda hai jis par ummate muslima muttafiq rahi hai; aakhir zamane mein paida hone waale baatil firqo ne is mein ikhtelaf kiya aur Ambiya -e- kiraam wa Auliya -e- izaam se madad talab karne aur unhein saahibe ikhteyar bataane par shor machaya lekin dusri taraf apne buzurgo ko saahibe ikhteyar maana aur un ki karamato ko bayaan kiya, ye kitab “Zalzala” isi bayaan par hai ke kis tarah khud ko tauheed ka alambardaar batane waale tauheed ki aad mein Ahle Sunnat wa Jama’at ko tarah tarah ke aitrazaat ka nishana banate hain lekin khud dusri taraf apne buzurgo ke liye wahi baatein bayaan karte hain; Ye kitab “Jaisa naam waisa kaam” ki misdaaq hai ke is se dunya -e- baatil mein zalzala aa gaya; is kitab ki maqbooliyat aur shohrat ahle ilm ke yahan musallam hai

Allah ta’ala ka shukr hai ke us ne humein ye taufeeq ataa farmayi ke hum is kitab ki isha'at mein hissa le rahe hain aur ise daure haazir ke taqaazo ko dekhte hue “Aasaan Roman Urdu” mein shaaya kar rahe hain; Allah tabaraka wa ta’ala humari is kaawish ko apni bargaahe paak mein darja -e- maqbooliyat ataa farmaye aur ise humare liye dunya wa aakhirat ki khairo barkat ka zariya banaye