Sidra Store (Powered by AMO)
Search

Cart

More Details

• About the book (in Roman Urdu):

Ye kitab apne mauzu (topic) ke aitbaar se bilkul munfarid (unique) hai kyunki is mauzu par zyada kitabein dekhne ko nahin milti halanki ye mauzu kaafi ahmiyat rakhta hai, is ke musannif Allama Maulana Abun-noor Muhammad Basheer Kotlawi alaihirrahma Ahle Sunnat wa Jama'at ke ek motamad aalime deen hain, aap ne “Hikayaato waqiyaat” ke mauzu par khaas tawajjo farmayi aur is kitab ke ilawa 'Sunni Ulama ki hikayaat', 'Shaitan ki hikayaat', 'Deobandi Ulama ki hikayaat', 'Masnawi ki hikayaat', 'Jibreel ki hikayaat' aur 'Sachchi hikayaat' (5 hisse) waghaira tasneef farmayi

Aap alaihirrahma ki paidaish 1913 Eisawi mein 'Kotli' mein hui, aap ke waalid ka naam Maulana Abu Yusuf Muhammad Shareef Muhaddis Kotlawi hai, ibtedayi uloom ki takmeel waalide maajid se ki phir 1935 Eisawi mein Darul Uloom Markazi Anjuman Hizbul Ahnaaf mein mazeed deeni taleem ke liye dakhila liya aur sanade faraghat haasil ki, aap ne daurane taleem hi tehreer wa taqreer ka silsila shuru kar diya tha aur apne andaaze bayaan, fazilana wa aalimana taqareer wa tasaneef, haazir jawaabi aur urdu wa punjabi shaairi ki wajah se bahut jald mash'hoor ho gaye, aap ne mulk ke kone kone mein Maslake Ahle Sunnat wa Jama'at ki tableegh ki; 2007 Eiswi mein aap ka wisaal hua