Sidra Store (Powered by AMO)
Search

Cart

More Details

Ibreez shareef tasawwuf ki dunya mein jaani maani kitab hai, 11wi sadi hijri ke bade sufi buzurg, Ghause Zamaa’n, Sayyidi Abdul Azeez Dabbagh rahimahullahu ta’ala ke anmol malfoozaat is kitab mein darj hain, in malfoozaat mein tasawwuf ki lateef baatein aur mukhtalif mauzuaat (topics) par ilmi bahasein aur nikaat (points) ka aisa zakheera hai goya thaathein maarta samundar ho

Ise tarteeb dene waale Ahmad bin Mubarak Maaliki alaihirrahma hain jo Hazrate Sayyidi Abdul Azeez Dabbagh alaihirrahma ke mureede khaas hain

Allah ta’ala ka shukr hai ke hum is kitab ki isha’at mein hissa le rahe hain aur daure haazir ke taqaazo ko dekhte hue ise ‘Aasaan Roman Urdu’ mein pesh kar rahe hain, Allah tabaraka wa ta’ala ise qabool farmaye aur ise humare liye aakhirat mein zariya -e- najaat banaye

More #1

Aap ne kai kitabo mein Nabiye Kareem ﷺ ke zaahiri pahlu aur zindagi ke baare mein padha hoga lekin is kitab mein aap padhenge ke Nabiye Akram ﷺ ki baatini aur ruhani kaifyat ka kya aalam tha aur kitne qism ke anwaar aap se mutalliq the, aise fazail aur khasail ke baare mein jaanenge jo sirf Huzoore Anwar ﷺ ki zaate aqdas ke saath khaas hain

More #2

Nabiye Akram ﷺ ke ilm ke baare mein badmazhab badi badi baatein karte hain lekin is kitab "Ibreez Shareef" ko agar padh liya jaaye to jitna ilm ye badmazhab Nabi ke liye batate hain us se zyada ilm ek wali ke liye tasleem karna hoga

Maze ki baat ye hai ke is kitab ko badmazhab bhi mustanad maante hain aur is ka urdu tarjama unhone publish bhi kiya hai, ye alag si baat hai ke tarjame mein dandi maarne ki koshish ki aur jahan nakaam rahe to hashiya (footnote) laga kar saaf ikhtelaf zaahir kar diya

Sach kehte hain ke ye badmazhab padhte sunte hain par samajhte nahin